Thursday, May 27, 2010

Wo Nadaan Bholi Si Ladki Nahi Jaanti Ke Kya Hai

Wo Nadaan Bholi Si Ladki Nahi Jaanti Ke Kya Hai, 
Uska Roop Saroop Kundan Nahi To Kya Hai, 

Usko Nahi Khabar Ke Uski Nahi Misaal, 
Bahisht Ka Husn Bhi Uske Aage Kya Hai, 

Wo Apna Paak Daaman Nachod De To Hoorein,
Hasool-E-Aab Ki Khatir Na Lad Pade To Aru Kya Hai, 

Wo Nawlon Mein Gum Kone Mein Simti Baithi, 
Usko Nahi Khabar Ke HaQeeQat Aur Kya Hai, 

Uski Ada Hai Aisi Ke Mausam Badal Ke Rakh De, 
Wo Hanste Hanste Ro De Koi Puchhe Aakhir Kya Hai, 

Sharmili To Aisi Ke Khud Se Bhi Sharma Si Jaye, 
Palloo Daba Ke Muh Mein Ghabra Ke Bole Kya Hai, 

Usko Kahein Pari To Uski Toheen Hogi, 
Par Pariyan Chehek Uthengi Wah Unka Naseeb Kya Hai, 

Seerat To Aisi Ke Qurbaan Ho Jaye Har Shakhs, 
Ya Mere Khuda Ka Us Par Inaam Nahi To Kya Hai, 

Ye HaQeeQat Hai Ke TarQ-E-Deeda-E-Zan Se Hoorein Hamein Milegi, 
Wo Samne Jo Aaye To Hooron Ki Talab Kya Hai, 

Dam Aakhir Agar Wo Haath Mere Haath Mein Thama De To, 
Ye Zindagi Hai Kya Aur Ye Kaza Kya Hai...

No comments:

Popular Posts