Thursday, May 27, 2010

Wo Khaloos Tha Ke KhuMar Tha

Wo Khaloos Tha Ke KhuMar Tha, 
Wo Junoon Tha Ke Saraab Tha, 
Mujhe Sochne Mein ZaMana Laga, 
Mujhe Manzilon Ne Bhula Diya, 
Mujhe Jis Masiha Pe Maan Tha, 
Mujhe Usne Sooli Chada Diya, 

Kayi HaMsafar Kayi Rehguzar, 
Mujhe Raste Mein Mile Magar, 
Meri Tashnagi Kuch Aur Hai, 
Meri Justajoo Koi Aur Hai, 

Wo Jo Roshni Ki Tarah Badhe, 
Magar Aansuon Mein SaMa Sake, 

Jo Subah Ki Pehli Kiran Bane, 
Mere Dilka Aangan Nikhaar De, 
Jo Mohabbaton Ki Ravayatein, 
Lahoo Ki Bali Se Sanwar De, 
Mujhe Us Wafa Ki Talash Hai, 
Mujhe Us Wafa Ki Talash Hai, 

Magar Is Jahan-E-Kharab Mein,
Yahan Khwahishon Ke Sarab Mein,
Mujhe Kaun De Aisi Wafa, 
Main Kahan Se Laun Wo Wafa, 
Inhi Uljhano Mein Ghira Hua, 
Yehi Sochta Main Chala Gaya...

No comments:

Popular Posts