Monday, May 17, 2010

wo dil nawaz hai nazar shanas nahi

wo dil nawaz hai nazar shanas nahi 
mera ilaj mere charagar k pas nahi 

tarap rahe hain zaban par kai sawal magar 
mere liye koi shayan-e-iltamas nahi 

tere ujalon main bhi dil kanp kanp uthta hai 
mere mizaj ko asudagi bhi ras nahi 

kabhi kabhi jo tere qurb main guzre the 
ab un dinon ka tasawwur bhi mere pas nahi 

guzar rahe hain ajab marhalon se dida-o-dil 
sahar ki as to hai zindagi ki as nahi 

mujhe ye dar hai k teri arzu na mit jaye 
bahut dinon se tabiyat meri udas nahi

No comments:

Popular Posts