Friday, May 7, 2010

Kuch aise zakhm mile chupaye nahi jaate

Kuch aise zakhm mile chupaye nahi jaate,
Ye bojh muqaddar ke uthaye nahi jaate,

Sunne ko to betaab hai ye saara zamana,
Afsane mohabbat ke sunayen nahi jaate,

Kuch dair ko to aaya jawab jaa bhi chuka hai,
Yaadon ke deep magar bujhaye nahi jaate,

Tasveer hoon main zabt-e-musalsal ke janoon ki,
Par dil main jo armaan hain dabaye nahi jaate,

Nadaan hoon, Be aqal hoon, Kamzor hoon sab kuch....
Ye rang to har shakhs main paaye nahi jaaate,

Aadaab mujhe ishq ke aate nahi shayad,
Ruthe hain woh is tarha manaye nahi jaate,

Shiqwa hai shiqyata hai to phir saamne aayen,
Is tarha se to daaman bachaye nahi jaate,

Beqaar na mutalashi hoon raahon ki,
Ujre howe ghar phir se basaye nahi jaate...

No comments:

Popular Posts