Friday, May 14, 2010

thakan to agle safar k liye bahana tha


thakan to agle safar k liye bahana tha 
use to yun bhi kisi aur simt jana tha 


wahi chirag bujha jis ki lau qayamat thi 
usi pe zarb pari jo shajar purana tha 


mata-e-jan ka badal ek pal ki sarshari 
suluk khwab ka ankhon se tazirana tha 


wahi firaq ki baten wahi hikayat-e-wasl 
nai kitab ka ek ek warq purana tha 


qaba-e-zard nigar-e-khizan pe sajti thi 
tabhi to chal ka andaz khusrowana tha

No comments:

Popular Posts