Wednesday, May 19, 2010

shehr-e-dil ki galiyun main

shehr-e-dil ki galiyun maiN
shaam sey bhataktey haiN
chaand ke tamanayi
be-qaraar sodayi
dil gudaaz tareeki
jaaN gudaaz tanhayi
rooh-o-jaaN ko dasti he
rooh-o-jaaN maiN basti he
shehr-e-dil ki galyooN maiN

taak shab ki belooN per
shabnami sarkashooN ki
be-qaraar logooN ne
be-shumaar logoN ne
yaadgaar chorhi he
itni baat thorhi he

sad hazaar bataiN thiiN
heela-e-shakibayi
sooratooN ki zebayi
qamatooN ki ra'anayi
in siyah ratooN maiN
aik bhi na yaad aayi
ja-ba-ja bhataktey haiN
kis ki raah taktey haiN
chaand ke tamanayi

ye nagar kabhi pehley
is qadar na viraaN tha
kehney waley kehtey haiN
qiryaa-e-nigaraaN tha
khair apney jiney ka
ye bhi aik samaaN tha

aaj dil maiN virani
abr ban ke ghar aayi
aaj dil ko kia kehye
ba-wafa na herjayi
phir bhi loog diwaney
aa gaye haiN samjhaney
apni vehshat-e-dil ke
bun liye haiN afsaney
khush khayal dunya ne
germiyaaN to jati haiN
wo ruteeN bhi aati haiN
jab malool ratooN maiN
dostooN ki batooN maiN
ji na chain paye ga
or aub jaye ga
aahatooN se gonjey gi
shehr-e-dil ki pehnayi
or chaand ratooN maiN
chandni ke shedayi
her bahaney niklaiN gey
aazmaney niklaiN gey
aarzo ki gerayi
dhoondhney ko ruswayi

sard sard ratooN ko
zard chaand bakhshey ga
be-hisaab tanhayi
be-hijaab tanhayi
shehr-e-sil ki galyooN maiN

No comments:

Popular Posts