Wednesday, May 26, 2010

Saal Dar Saal Beet Rahi Hai Yeh Zindagi

 Saal Dar Saal Beet Rahi Hai Yeh Zindagi
Nahi Rok Sakti Hai Ye Jeene Ka Ulhaas
Kyuki Abhi Tak Tooti Nahi Hai Dil Mein Mere
Ek Aur Madhumass Bitaane Ki Aas

Abhi Tufaani Hawaon Zara Thehro,
Mat Karo Yun Mere Jeevan Ka Haas
Kyuki Abhi Tak Meri Zindgi Mein Bachee Hai
Ek Aur Jeevan Jeene Ki Aas

Abhi To Karni Hai Kayi Baatein Phoolon Se
Abhi To Jhumna Hai Mast Hawao Ke Jhoole Se
Abhi To Chunni Hai Kaliyaan Baago Se
Abhi Na Karao Mujhe Kanto Ki Chubhan Ka Ehsaas
Kyuki Abhi Tak Hai Meri Zindgi Mein
Ek Aur Jeevan Ki Pyaas

Abhi Bhi Mera Dil Suraj Ke Taap Se Nahi Hai Ghabarta
Abhi Bhi Chaand Hai Apni Chandni Ki Thandak Pahunchata
Abhi Bhi Bahut Apna Sa Lagta Hai
Yeh Taaron Bhara Akaash
Kyuki Abhi Bhi Is Dil Mein Hai
Ek Aur Aasman Chhoone Ka Vishwas

Abhi Kuch Der Aur Sawan Ke Jhoole Jhoolane Do
Abhi Kuch Der Aur Apne Bachpane Ko Jee Lane Do
Abhi Kuch Der Aur Nadiya Ki Laharo Sa Machalne Do
Bahut Bachi Hai Abhi Bhi Dil Mein Ek Pavitara Si Pyaas
Kyuki Khatam Nahi Hua Hai Is Jeevan Ke
Sukhane Ka Abhi Ehsaas

Tab Dastak Dena Umar Tum Apni
Jab Dil Mein Jeene Ki Koi Umang Na Ho
Jab Dil Ka Koi Kona Pyasa Na Ho
Aur Yun Hi Bewazah Jeevan Ko Jeene Ki Abhilasha Na Ho

Per Abhi Meri Komal Bhavnaon Ko Lagao Na
Beetate Samaye Ka Abhishaap
Kyuki Abhi Bhi Hai Jeevan Ke Is Amrit Ko Peene Ki Pyas
Abhi Tak Hai Baki Ek Aur Madhumass Beetane Ki Aas

No comments:

Popular Posts