Monday, May 10, 2010

sakut-e-sham-e-Khizan hai qarib a jao

sakut-e-sham-e-Khizan hai qarib a jao
bara udas saman hai qarib a jao

na tum ko Khud pe bharosa na ham ko zom-e-vafa
na aitabar-e-jahan hai qarib a jao

rah-e-talab main kisi ko dhyan nahin
hujum-e-hamsafaran hai qarib a jao

jo dasht-e-ishq main bichren vo umr bhar na mile
yahan yahan dhuan hi dhuan hai qarib a jao

ye andhian hain to shahar-e-vafa ki Khair nahin
zamana khakfashan hai qarib a jao

faqih-e-shahar ki majalis nahin k dur raho
ye bazm-e-pir-e-magan hai qarib a jao

'Faraz' dur k suraj garub samajhe gaye
ye daur-e-kamnazara hai qarib a jao

No comments:

Popular Posts