Friday, May 28, 2010

Ret Se Baat Na Bana Aye Mere Achhe Fankaar


Ret Se Baat Na Bana Aye Mere Achhe Fankaar, 

Ek Lamhe Ko Theher Main Tujhe Pattahr Laa Dun,
Main Tere Saamne Ambar Laga Dun Lekin,
Kaunse Rang Ka Pathar Tere Kaam Aayega, 
Surkh Patthar Jise Dil Kehti Hai Bedil Duniya, 
Ya Wo Pathrayi Hui Aankh Ka Neela Patthar, 
Jis Mein Sadiyon Ke Tahayyur Ke Pade Ho Dore, 

Kya Tujhe Rooh Ke Pathar Ki Zaroorat Hogi, 
Jispe HaQ Baat Bhi Pathar Ki Tarah Girati Hai, 
Ek Wo Patthar Hai Jise Kehte Hai Tehzib-E-Safed, 
Uske Mar Mar Mein Siyah Khoon Jhalak Jaata Hai, 
Ek Insaaf Ka Patthar Bhi To Hota Hai Magar, 
Haath Mein Tesha-E-Zar Ho To Wo Haath Aata Hai, 

Jitne Mayaar Hai Is Daur Ke Sab Pathar Hai, 
Sher Bhi RaQs Bhi Tasveer-O-Gina Bhi Patthar, 
Mere Ilhaam Tera Zehen-E-Rasa Bhi Patthar, 
Is Zamane Mein Har Fan Ka Nishaan Patthar Hai, 
Haath Patthar Hai Tere Meri Zuban Pathar Hai, 
Ret Se Butt Na Bana Aye Mere Achhe Fankar...

No comments:

Popular Posts