Tuesday, May 4, 2010

reit par likh ke mera naam mitaya na karo

reit par likh ke mera naam mitaya na karo
ankhein sach bolti hain pyar chupaya na karo

log har baat ka afsana bana leite hain
sab ko halat ki rudad sunaya na karo

ye zarori nahin har shakhs maseeha hi ho
pyar ke zakhm amanat hain dikhaya na karo

shahar-e-ehasas mein pattharao bohat hain 'Mohsin'
dil ko sheeshe ke jharonkon mein sajaya na karo

No comments:

Popular Posts