Monday, May 10, 2010

rachi hai ratjago ki chandani jin ki jabinon mein

rachi hai ratjago ki chandani jin ki jabinon mein
'Qateel' ek umr guzri hai hamari un hasinon mein

wo jin k anchalon se zindagi takhlik hoti hai
dharakta hai hamara dil abhi tak un hasinon mein

zamana parsai ki hadon se ham ko le aya
magar ham aj tak ruswa hain apne hamnashinon mein

talash un ko hamari to nahin puch zara un se
wo qatil jo liye phirte hain khanjar astinon mein

No comments:

Popular Posts