Tuesday, May 4, 2010

qudrat ne jab hamaarii hastii ka biij Daalaa

qudrat ne jab hamaarii hastii ka biij Daalaa
tab kokh mein tirii hii nau maah ham ko paalaa

phir is jahaaN meN ham ne jab aaNkh apnii kholii
nazroN meN teraa ruKh thaa, kaanoN meN terii bolii

ho goad kii vo narmii yaa haath kii ho shafqat
har pal rahii nichhaavar ham par tirii muhabbat

tuu ne sukuuN ganvaayaa, raatoN kii niind khoii
hone na dii kabhii bhii takliif ham ko koii

terii hii ungliyoN ko pakRaa to chal sake ham
mamtaa ko terii ham ne paayaa to pal sake ham

dunyaa kaa ilm siikhaa, paayaa sha.uur-e-mazhab
donoN jahaaN ke laayaq tere baGhair the kab

piichhe jo dekhte haiN, har samt tuu khaRii hai
ahsaanmand terii, har saans, har ghaRii hai

ik chiiKh par hamaarii fauran vo teraa aanaa
phir sar pe haath rakhnaa, ham ko gale lagaanaa

raatoN ko imtihaaN kii teraa vo saath jagnaa
himmat baRhaate rahnaa, sau sau duaayeN paRhnaa

mamtaa meN terii Duube taazaa vo garm khaane
gaajar ka garm halvaa, bhuTTe ke narm daane

sardii ke vo paraaThe, vo garmiyoN kii lassii
kuchh Khaas hii khilaayaa, mausam ho vo koii bhii

apnii zaruuratoN ko baalaa-e-taaq rakkhaa
ham ko diyaa hai tuu ne, jo kuchh bhi ham ne maaNgaa

KhushiyaaN mileeN jo ham ko, tujh saa na Khush thaa koii
kuchh dard ham ne paayaa, to saath tuu bhii roii

tujh se banii hamaarii aasaan zindagaanii
tuu to judaa hai sab se, teraa nahiiN hai saanii

har har qadam pe tuu ne kitne karam kiye haiN!
jo kuchh haiN aaj, terii mehnat se ham bane haiN

teraa kiyaa kisii ne ab tak kiyaa na hogaa
thoRaa bhii qarz teraa ham se adaa na hogaa

karte haiN terii izzat, tujh se hai pyaar, ai maaN!
qadmoN meN tere apnii hai jaaN nisaar, ai maaN!

maaN! behtariin hai tuu in.aam aasmaaN kaa
yaa rab! rahe salaamat saayaa hamaarii maaN kaa!

No comments:

Popular Posts