Wednesday, May 5, 2010

Pathar agar tha unka dil

Pathar agar tha unka dil
To mera kaanch ka na banaya hota
Unhain pighalna nahi aaya to
Mujhe sambhalna hi sikhaya hota

Koi kuch bhi na kahay to pata kya hai
Is bechain khamoshi ki wajah kya hai
Unhain ja kay koi kahay hum lay lenge zahar bhi
Woh sirf yeh to bata dain meri khata kya hai

Yeh tasavvur main bhi na tha hogi judaii bhi kabhi
Saza aisi hogi unsay dil lagaye ki kabhi
Hum to unki wafa ki laytay thay kasmain
Bewafa aise nikle kay nazar milayee na phir kabhi

Tore diye sab dil kay rishtay
Kar kay waadon ki her baat
Woh do qadam na saath day sake
Zindagi bhar kya dete khaak

No comments:

Popular Posts