Wednesday, May 5, 2010

Na who farishta ho na farishte jaisa ho

Na who farishta ho na farishte jaisa ho
Mujhe talash hai uski jo mere jaisa ho
Mere khalus ko pehchanta ho bus kafi hai
Woh koi bhi ho, kahin bhi ho, kaisa bhi ho
Jo khawaab dene ko qadir ho meri aankhon ko
Meri mohabbat ko pehchan sake woh aisa ho
Meri khatir marne ka hosla bhi rakhta ho

Agar kabhi rooth jaoon mein us se to
Muskra ke manayee, woh aisa ho
Jo baat kare to woh nibha bhi sake
Iradon mein woh apne chatanon jaisa ho
Dukhon mein hansne ka hunar janta ho
Ik aisa hamsafar jo samandar kitarah gahrah ho
Us ke pyaar ki thandak ho mere liye aisi
Ke woh to bilkul aasman ke chand jaisa ho
Woh sirf mera ho, jo nigahon mein haya rakhta ho
Umar bhar saath chale azam-o-wafa rakhta ho...!!!
Naaz uske na uthayoon tu gilla na kare
Woh mera dard sehne ki ada rakhta ho!!!

No comments:

Popular Posts