Sunday, May 2, 2010

muhabbat k saagar chalaknay lagay hayn

muhabbat k saagar chalaknay lagay hayn
wo dil ban k dil mayn dharknay lagay hayn

ye kaysi wafaon ki rut agai hai
khiyalon mayn ik baykhudi cha gai hai
qadam zindagi k behehknay lagay hayn

umangon k pholon say daman bhara hai
mayra khuwab kaysay haqeqat bana hai
nigahon mayn jugno chamaknay lagay hayn

sitaron say agay hai dunia wafa ki
magar hum nay ki hai tamana wafa ki
jahan aaj hayrat say taknay lagay hayn

No comments:

Popular Posts