Tuesday, May 4, 2010

Main jidhar gaya,main jahan raha

Main jidhar gaya,main jahan raha
meray saath tha
wohi aik saya-e-meharban
woh jo aik chehra-e-abar, tha sar-e-asmaan
pus-e-hur gumaan
woh jo aik harf-e-yaqeen tha
meray har safar ka ameen tha
woh jo aik bagh-e-erum numa,sabhi mausamoon main hara raha
woh ujar gaya........
woh jo aik dua ka charagh saa meray raaston main jala raha
woh bikhar gaya.......
meray gham ko jarr say ukharta
woh jo aik lams-e-azeez tha
kissi kapkapatay say haath ka,woh nahi raha
woh jo ankh rahti thi jagti meray naam par
wohi so gayii......
woh aik dua-e-sukoon thi meray rakht main
wohi kho gayiii.........
AAY KHUDA-E-WAHID-O-LAM YAZAL
teray aik harf kay said hain
yeh zaman makan
teray faislon kay huzoor main
na majaal hai kissi harf ki,na kissi ko taab-e-sawal hai
yeh jo zindagi ki mat'a hai
teri dain hai,tera maal hai
mujhay hai to itna malaal hai
kay jab us ki sa'at-e-aakhri sar-e-rah thi
main wahan na tha.....
meray raaston say nikal gaii,woh jo aik jaa-e-panah thi
main wahan na tha.......
sar-e-shaam mujhay dhoondti,meri maan ki bujhti nigaah thi
main wahan na tha.......
meray chaar soo hai dhuan dhuan
meray khwaab say meri ankh tak
yeh jo sail-e-ashk hai darmayaan
issi sail-e-ashk kay paar hai
kaheen meri maan
teray raham ki nahi had koi
teray a'fw(maafi) ki nahi intiha
kay to maan say barh kar shafeeq hai
woh rafeeq hai
kay jo saath ho to zindagi ki musaafatain
yeh izziyatain,yeh rukawatain
faqat aik nigah ki maar hain
yeh jo khaar hain
teray dast-e-mu'ajza saaz say
gul-e-khush jamal-e-bahar hain
meri iltija hai to bas yahi.......
meri zindagi ka jo waqt hai,katay us ki ujli duaa'oon say
teray durguzar kay huzoor main
teri barkatoon kay hisaar main
woh jo khaas chashm-e-karam main hai
ussi roshni ki qatar main
kissi cheez ki bhi kami nahi
teri bakhshishoon kay diyaar main
meri maan ki rooh-e-jameel ko
sada rakhna apnay jawar main
sada pur faza woh lahad rahay
teray lutf-e-khaas ki chaoon main

No comments:

Popular Posts