Sunday, May 2, 2010

laoon kahan se dhoond ke yaadon ki roshni

laoon kahan se dhoond ke yaadon ki roshni
tareeq hogaya hai mohabbat ka yeh safar

andhere mangne aae the roshni ki bheek
hum apna gher na jalate to aur kiya kerte

resham hoon roshni ka hawaoon mein ur na jaoon
tu mughe ko pane lims ke anchal mein de panah

tum bhi dene lage dunya ko andheron ka pata
roshni bhi bhi to the aik zamane ke liye

yeh kiya khabar thi ke daka pare ga ankhon per
hamare gher mein humein roshni ne luta hai

milti hai mughe ko iss ki lakiron mein roshni
mein jab shafeeq dekhta hoon apne haath ko

No comments:

Popular Posts