Wednesday, May 19, 2010

khirki' chand' kitab aur main

khirki'
chand'
kitab aur main,

mudat se aik baab aur main,

shab bhar khelain aapas main,

do ankhain aik khuwab aur main,

mouj aur kashti sahil per,

dariya main gardaab aur main,

sham'
udasi'
khamoshi,

khuch kankar,
talab aur main,

her shab pakrey jate hain,

gehri neend,
tere huwab,aur main..........

No comments:

Popular Posts