Wednesday, May 12, 2010

kabe ki hai havas kabhi ku-e-butan ki hai

kabe ki hai havas kabhi ku-e-butan ki hai 
mujh ko khabar nahin meri mitti kahan ki hai 

kuch tazgi ho lazzat-e-azar k liye 
har dam mujhe talash naye asman ki hai 

hasrat baras rahi hai mere mazar se 
kahte hain sab ye qabr kisi naujavan ki hai 

qasid ki guftagu se tasalli ho kis tarah 
chipti nahin vo jo teri zaban ki hai 

sun kar mera fasana-e-gam us ne ye kaha 
ho jaye jhut sach, yahi khubi bayan ki hai 

kyun kar na ae khuld se adam zamin par 
mauzun vahin vo khub hai, jo shay jahan ki hai 

urdu hai jiska nam hamin jante hain Dag
hindustan main dhum hamari zaban ki hai

No comments:

Popular Posts