Tuesday, May 4, 2010

Jis ne chout na khaee ho Wo chehra kaya pehchanay ga

Dil Na Roo "
"Jis ne chout na khaee ho
Wo chehra kaya pehchanay ga
Dil ka dard tu yaro koi
Dil wala hi janay ga"
Ek dard sabhi ko hota hai
Ek marz sabhi ko hota hai
Dil na roo
Ay dil na roo
Tere sath ye aasamaan rota hai
Ek dard sabhi ko hota hai
Dil na roo
Ay dil na roo
Koon kehta hai sab ko gam nahi hai
Haan ye kaho kay sab ki ankhein nam nahi hain
"Bhari mehfil main dil hansta hai
Tanhaee main rota hai
Kisi ko yaad karna bhi
Bara doshwaar hota hai"
Tanhaee main chup kay say roo latay hain
Gam ka zehar pe pe kay ge letay hain
Dil na roo
Dil na roo
Ye he hashar sabhi ka hota hai
Ek dard sabhi ko hota hai
Dil na roo
Ay dil na roo
Doshwareaan sabhi ki zindage main hain
Magboriaan sabhi ki zindage main hai
Tarpata rahay jo sari omar wo
Ek waqaya sabhi ki zindage main hai
Dil na roo
Ay dil na roo
Ye hi Qehar sabhi pay hota hai
Ek dard sabhi ko hota hai
Dil na roo
Dil na roo
Ge kay ghabra geya
Koi ghabra kay ge geya
Or koi hanstay hanstay
Zakhmoon ko see geya
"Musebat ki gharee main
Koon kis ka sath deta hai
Andharay main tu saaya bhi
Juda insaan se rehta hai"
Kisi ne zehar samaj kay ansoo baha deay
Or koi may samaj kay ashkoon ko pe geya
Dil na roo
Dil na roo
Yahaan zikar osi ka hota hai
Ek sabhi ko hota hai
Dil na roo
Ay dil na roo

No comments:

Popular Posts