Tuesday, May 4, 2010

Itni si duaa hay k anay wala har lamha

Itni si duaa hay k anay wala har lamha
Haseen chahtoon k phool bakshay urooj baksahy
Tumhari duniya mein roshni ho
Tumhari mahfil mein khushian hun
Kabi b tum tak dukhun ki dastak na punch paiy
Tumhari annkhun mein jo sitaray chamak rahay hain
Yoon hi chamaktay rahain hamesha
Tumharay dil tak judayion,befayion ki koi andari kiran na punchay.
Khuda karay k tum har aik dil ka qarar looto
Tumhari har aik tumnna har aik khawahish tumharay
honton tak atay atay tumharay qadamon tak aa punchay
Jo ho sakay to main tumharay sab dukhun ko apnay andar utar lun.
Janta hun yah momkin nehi magar Duaa to mera haq hay.
Yah mukhtasir duaaion ka tuhfa sanmbal rakhna.
Meray anderon ki fikar chur do.
Tum bas appna khail rakhna.....................

No comments:

Popular Posts