Friday, May 7, 2010

Is shehar main tanha hoo magar tu hai mere pass

Is shehar main tanha hoo magar tu hai mere pass 
Jis shakal ko chahoo teri surat main badal doo  
Ye husn e tasawur hai ke jaadu hai mere pass 
Rakhta hai sada jo meri raaton ko muatar  
Wo tere badan ka gull e khushboo hai mere pass 
Kiya mujh ko pasand aye ge is shehar ke naghme  
Tu hai meri koil teri koo koo hai mere pass 
Kiyo thamoo gaa main jaan ! kisi aur ki bahain  
Pehne hue kangan tere bazoo hain mere pass 
Jab chahoo kateel us ke nagar tak mujhe le jaye 
Socho ka chamakta hua jugnoo hai mere pass 

No comments:

Popular Posts