Monday, May 10, 2010

inhin khushgumaniyon main kahin jan se bhi na jao

inhin khushgumaniyon main kahin jan se bhi na jao
vo jo charagar nahin hai use zaKhm kyun dhikhao

ye udasiyon k mausam kahin rayegan na jayen
kisi zaKhm ko kuredo kisi dard ko jagao

vo kahaniyan adhuri jo na ho sakaingi puri
unhen main bhi kyun sunaun unhen tum bhi kyun sunao

mere hamsafar purane mere ab bhi muntazir hain
tumhen sath chorna hai to abhi se chor jao

ye judaiyon k raste bari dur tak gaye hain
jo gaya vo phir na lauta meri bat man jao

kisi bevafa ki khatir ye junun 'Faraz' kab tak
jo tumhen bhula chuka hai use tum bhi bhul jao

No comments:

Popular Posts