Tuesday, May 18, 2010

dukh dard ki saugat hai dunya teri kya hai

dukh dard ki saugat hai dunya teri kya hai 
ashkon se bhari rat hai dunya teri kya hai 

kuch log yahan nur-e-sahar dhundh rahe hain 
tarik si ik rat hai dunya teri kya hai 

paband-e-mashiyat hai tanaffus bhi nazar bhi 
ik jazya-e-lamhat hai dunya teri kya hai 

taqdir k chehre ki shikan dekh raha hun 
aina-e-halat hai dunya teri kya hai 

majruh-e-taqaddus hai taqaddus ki haqiqat 
rudad-e-kharabat hai dunya teri kya hai 

"Sagar" mein chalkate hain samawat k israr 
saqi ki karamt hai dunya teri kya hai

No comments:

Popular Posts