Thursday, May 6, 2010

Apne hothon par sajana chahta hoon

Apne hothon par sajana chahta hoon
Aa tujhe main gungunana chahta hoon

Koi aansoo tere daaman par gira gar,
Boond ko moti banana chahta hoon !

Thak gaya main karte karte yaad tujko,
Ab tujhe main yaad aana chahta hoon !

Cha raha hai saari basti mein andhera,
Roshni ko ghar jalana chahta hoon !


Aakhri hichki tere zaano pe aye,
Maut bhi main shayraana chahta hoon !

Apne hothon par sajana chahta hoon,
Aa tujhe main gungunana chahta hoon !

No comments:

Popular Posts