Friday, May 7, 2010

Anjaam agar yehi hai to phir ibtida na ho

Anjaam agar yehi hai to phir ibtida na ho,
Koi tumhari tarah kisi se juda na ho.

Manzil agar naseeb nahi hai to ai Khuda,
Main jis taraf badhau.n kadam, raasta na ho.

Khud par nigaah daale zamaane guzar gaye,
Darta hoon aaiine me koi doosara na ho.

Dono gunaah-e-ishq ke mujrim sahi magar,
Allah! uske vaaste aisi sazaa na ho.

Maayusiya.n kuchh aisi siwaar ho gayin ki bas,
Yon lag raha hai jaise kaheen par Khuda na ho. 

No comments:

Popular Posts