Tuesday, May 4, 2010

Ager cha omer-e-rafta k dhairoon bars daikhay hain

Ager cha omer-e-rafta k dhairoon bars daikhay hain
tajrubay ki haseeen gheryaan
hamaray paas say ho ho k guzri hain
sukh aur dukh k her lamhay say
hum nay huz uthaya hai
kitni ghaltian serzad na honay k bais
hamaray paas say ro ro k guzri hain
mager naraaz logoon ko mananay ka saleeqa
hamain ab tuk nahi aaya
dostoon ki khafgioon ,narazioon ko door kernay ka
ya fun qat'un nahi aaya
yoon samjho k is lateef dunya dari k hawalay say
abhi hum tifl-e-maktab hain
yaari dosti k in marahil ko pukhta bananay main
hamaray taaray milanay main
samay ki taiz dhara ko abhi kuch aur chalna hai
hamari janib sy logoon ko mananay main ,naye(new) tauluq
bananay main
abhi kuch waqt lagna hai
mager hum ya baat wasooq say kehnay k qabil hain
k ager tum maaf ker do gay
tumhari mohabbat ki narm phavaroon say jub
hum bheeg jain gay
to rishtay nibhnay ka ya fun
bhi seekh jain gay

No comments:

Popular Posts