Tuesday, May 4, 2010

Agar mohabbat meri sachi hai to ik din zaroor mila de gi

Agar mohabbat meri sachi hai to ik din zaroor mila de gi
Agar zid meri pakki hai to aey Khuda asman ko bhi hila de gi

Na inkaar kar sakta hai koi meri wafa se, mujhe yakeen hai
Par tum sambhalna ek din meri wafa tujhe bewafai ka sila degi

Yeh baat sach hai ke tumne humse pyaar kiya par dusare hi pal bhula diya
Mera pyaar itna aashan na tha na socha tha ke teri mohabbat daga de gi

Na bhula sakon gi woh mohabbat na woh bewafai, jo tu ne ki
Saza iss se barh ke kya de gi ke umar bhar meri mohabbat tujhe dua de gi

Agar dam hai meri wafa-e-mohabbat mein to woh ik din, aye ga zaroor
Jab meri yaad mein to tarpe ga par tab tujhe apni mohabbat na de gi

No comments:

Popular Posts