Tuesday, May 4, 2010

Agaaz to hotaa hai anjaam nahin hotaa

Agaaz to hotaa hai anjaam nahin hotaa
jab merii kahani main wo naam nahin hotaa

Jab zulf ki kaalikh mainn ghul jaaye koii rahii
badnaam sahii lekin gumnaam nahin hotaa

Hans hans ke javan dil ke ham kyon na chune.
har shaKhs kii qismat main inaam nahiin hotaa

Bahte hue aansuu ne aankhon se kahaa tham kar
jo mai se pighal jaaye vo jaam nahin hotaa

Din Duube hain yaa Dubii baaraat liye kashtii
saahil pe magar koi kohraam nahiin hotaa

No comments:

Popular Posts