Wednesday, May 5, 2010

ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imka'n jana'n

Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan janaan
Yaad kya tuje ko dilaein tera peman janaan

Younhi mosam ki ada dekh ke yaad aya hai
Kis kadar jald badal jaate hein insaan janaan

Zindagi teri aata thi so tere naam ki hai
Hum ne jaise bhi basar ki tera ehsaan janaan

Dil yeh kehta hai ke shaid ho fasurda too bhi
Dil ki kya baat karein dil to hai nadaan janaan

Awal Awal ki muhabaat ke nashe yaad to ker
Be piye bhi tera chehra tha gulistaan janaan

Aakhir Aakhir too yeh aalam hai ab hosh nahi
Rag-e-Meena sulag uthi ke rag-e-Jan janaan

Mudatoon se yahi aalam na tawaqa na umeed
Dil pukare hi chala jata hai janaan janaan

Hum bhi kya saada the hum ne bhi samajh rakha tha
Gam-e-Doraan se juda hai gham-e-janan janaan

Ab ke kuch aise saji mefil-e-yaraan janaan
Sar be zanwan hai koi sir bigrebaan janaan

Har koi apni hi awaaz se kaanp uthta hai
Har koi apne hi saai se harasaan janaan

Jis ko dekho wohi zanjeer bapaa lagta hai
Shaher ka Shaher huwa dakhil-e-Zandaan janaan

Ab tera ziker bhi shaid hi ghazal mein aai
Aur se aur Huwe dard ke anwaan janaan

Hum ke roothi hoi rut ko bhi mana lete thay
Hum ne dekha hi na tha mosam-e-hijraan janaan

Hosh aaya to sabhi khawab the reza reza
Jaise urte huwe aoraaq-e-preshan janaan

No comments:

Popular Posts