Saturday, May 29, 2010

Ab Kar Tum Khwabon Ko Meri Jagah Na Do

Ab Kar Tum Khwabon Ko Meri Jagah Na Do, 
Tadapte Dil ke Dard Ki Yun Dawa Na Do, 

Duniya Ke Gam Saunp Kar Mujhe, 
Ab Khush Rehne Ki Dua Na Do,

Dikhla Kar Maikhane Ka Rasta Phir, 
Aab-E-Zam Zam Ki Sada Na Do, 

Kaante Bhar Kar Mere Daaman Mein, 
Mujhe Phoolon Ki Si Ada Na Do, 

Mila Kar Zeher Mere Jaam Mein, 
Mujhe Bewajah Maut Ki Wajah Na Do, 

Gunaah Jo Sarzad Hua Hai Mujhse, 
Pal Pal Begunahi Ki Saza Na Do, 

Badnaam Kar Ke Uski Galiyon Mein Ab, 
Uske Aashiyaane Ka Tumhi Pata Na Do, 

Mohabbat Karte Hai, Dikhana Nahi Jaante, 
Ilzaam Magroori Ka De Kar Ye Sila Na Do, 

Jala Rakha Hai Ummidion Ka Diya Sadiyon Se, 
Pal Bhar Ki Khalish Se Ise Bujha Na Do, 

Main Ek Na-Chiz Sahi Kisike Dilka Hissa Hoon, 
Mujhe Yun Safah-E-Hasti Se Mita Na Do, 

Zaib Nahi Deta Mujhe Mohabbat Ka Husool, 
Nafrat Hi Sahi, TarQ-E-TalluQ Ki Magar Hawa Na Do, 

Chheen Kar Mujhse Zindagi Meri, 
Mujhe Aur Jeene Ki Baddua Na Do...

No comments:

Popular Posts