Friday, April 23, 2010

YEh Udaas Aankhien Meri

YEh Udaas Aankhien Meri
Karb e tAnhAii Mein jAlti hOii
Is Zaat Key Darwazey Par
RaSta Dekhti Rehti hAin KiSsi Badal KA
Aisa Badal
Jo Merey JiSam Key Sehra Ko Bhe Sahil Kar Dey
Haath HaathOun Pey Rakhey
ROoh Ko jAl-Thal Kar Dey
Yeh Udaas Aankhien Merii
zUlm Kii dhUnd Mein Liptii hOii
Is Raat Key Darwazey Par
RaSta Dekhti Rehtii hAin KiSsi SOoraj Ka
Aisa SOoraj
jO mOhabbat Key Har Eik NaQsh Ko ROshan Kar Dey
khOuf Kii Lehar Sey jAmtey hOye lOgoun Mein
Hararat Bhar Dey
Bhaagtey dOurtey Is WaQt Key Hangamey Mein
Wo Jo Eik Lamha Amar hAi Wo Theharta Hii Nahe
Be-YaQeeni Ka Yeh mahOul Bikharta Hii Nahe
Mera SOoraj
Merey Aangan Mein Utarta Hii Nahe

No comments:

Popular Posts