Sunday, April 18, 2010

Wisaal-O-Hijr Me Ya Khwab Se

Wisaal-O-Hijr Me
Ya Khwab Se Mahroom Aankhon Me
Kisi Ahd-E-Rifaqat Me
Ke Tanhai Ke Jangal Me
Khyal-E-Khal-O-Khad Ki Roshani Ke Gahre Baadal Me
Chamkti Dhoop Me Ya Phir
Kisi Be Abr Saye Me
Kahin Baarish Me Bhige Jism-O-Jaan Ke Nasrparon Me
Kahin Hoton Pe Shairon Ki Mahaktie Aabsharon Me
Chiraghon Se Saji Shaamon Me
Ya Benoor Raaton Me
Sahr Ho Runuma Jaise Kahin Baaton Hi Baaton Me
Koi Lipta Hua Ho Jis Tarah
Sandal Ki Khushboo Me
Kahin Pe Titliyon Ke Rang Tasweeren Bana Te Hon
Kahin Pe Jugnuon Ki Muthiyon Me Roshani Khud Ko Chupati Ho
Kahin Kaisa Hi Manzar Ho
Kahin Kaisa Hi Mausam Ho
Tere Saare Hawalon Ho
Teri Saari Misalon Ko
Mohabbat Yaad Rakhti Hai

No comments:

Popular Posts