Tuesday, April 27, 2010

Tum nay muj ko pyar sai na daikha aik baar

Tum nay muj ko pyar sai na daikha aik baar
Mein khara raha niharata raha tumhein
Tum na sun sukay sada jo mere dil sai aa rahi thee
mein magar pukarata raha tumhein

Zindagi ki rah mein chura kar haath tum agar
chalay gaye tou chout kyon lagay mujay
Rooshni tumharay bhaag mein lakhi howi hai
aur mere bhag mein diye bujay bujay

Aab yeh soochta hoon dil kay aaiynay mein
Kis liye mein raat utarata raha tumhein
Tum nay muj ko pyar sai na daikha aik baar
Mein khara raha niharata raha tumhein

Kia mera naseeb hai keh zindagi ki rah mein
Na tum milay, na ghar milay na raasta
Aik tumhari justajoo mein bun keh rah gaye
yeh zindagi kisi shikasta dil ki baduwaa

Tum ko jeetnay kay daao dhoondta raha magar
qadam qadam per haarta raha tumhein
Tum nay muj ko pyar sai na daikha aik baar
Mein khara raha niharata raha tumhein

Is qadar milay hein ghum keh aab kisi bhi baat pe
Na dil duhkay na dard ka pata chalay
Laakh kooshishein karo gay phir bhi kum na ho sukaein gay
Do diloon mein ho gaye gaye jo faaslay

Jaanta tha khawab hai toot jaye ga kisi gharri
Magar sanwarata raha tumhein
Tum nay muj ko pyar sai na daikha aik baar
Mein khara raha niharata raha tumhein

No comments:

Popular Posts