Monday, April 26, 2010

sukoot-e-jaan ka matlab batado phir chale jana

sukoot-e-jaan ka matlab batado phir chale jana ...
ya phir sargoshian dil ki suna do phir chale jana ...

jo mera or tumhara waqt guzra hansne rone me
use poori tarah se tum bhulado phir chale jana ...

ye sare perh podhe tum bin ek rut jage hue
tum aake ek baar inko sulado phir chale jana ...

kisi ko chahne ka aur kisi se chahe jane ka
jo hai ehsaas tum usko bhulado phir chale jana ...

bus ek hansi se apne ashkon ko chupane ka
jo fun aata hai tum ko, wo shikhado phir chale jana ...

wo jo ek lafz-e-ulfat hai, juda hai apne maane se
bus in alfaz-o-maane ko mitado phir chale jana ...

jo kehte kehte ruk gaye, un sari batoon ki
sama`at ko talab hai wo suna do phir chale jana...

na jane kyun hai, lekin dekhne ki tum ko aadat hai
meri ye be-wajah aadat churha do phir chale jana ...

mere in roz-o-shab ka ek fakat unwaan bas tum ho
mujhe tum doosra unwaan laado phir chale jana...

No comments:

Popular Posts