Tuesday, April 27, 2010

subha subha ek khuwab ki dastak par

subha subha ek khuwab ki dastak par
darwaza khola daykha
sarhad k us par say
kuch mayhman aay hayn
chehray saray sunay sunye
paoon dhoay hath dhulay
angan mayn aasan lagway
or tandor pay makye k kuch
Motay motay roth pakay
Potly masin mayhman mayray
Pichli salon ki faslon ka
gur laye thay
aankh khuli too daykha
ghar mayn koi nahin tha
hath laga kar daykha too
tandor abhi tak bujha nahi tha
or honton par mithay gur ka
zaiqa ab tak chipak raha tha
khuwab tha shayad
khuwab hi ho ga
sarhad par kal raat suna hai
chali thi goli
sarhad par kal rat suna hai
kuch khuwabon ka khon huwa hai

No comments:

Popular Posts