Thursday, April 15, 2010

Sochtay sochtay phir mujh ko khayal aata hay

Sochtay sochtay phir mujh ko khayal aata hay
too meray ranj o masa,eb ka madawa to na thi
rang afshan thi meray dil kay khalaon mein magar
aek aurat thi ilaj e gham o dunya to na thi

Meray idraak kay nasoor to ristay rehtay
meri hokar bhi woh meray liyay kia kar leti
hasrat o yaas kay ghambhir andheray mein bhala
aek nazuk si kiran saath kahan tak deti

Us ko rehna tha zar o saim kay aewanon mein
reh bhi jati woh meray saath to rehti kab tak
aek maghroor sahokaar ki piyari betii
bhook aur piyas ki takleef ko sehti kab tak

Aek shaaer ki tamannaon ko dhoka dekar
us nay tordi hay agar piyar bharay geet ki lay
us par afsos hay kiun, us pe taajjub kaisa
ye muhabbat bhi to ehsaas ka ek dhoka hay

Phir bhi anjanay mein jab sheher ki rahon mein kabhi
dekh leta hon doshiza jamalon kay hujoom
rooh par phelnay lagta hay udasi ka ghubaar
zehen mein ringnay lagtay hen khayalon kay hujoom

Sochtay sochtay phir mujh ko khayal aata hay
woh meray ranj o masa,eb ka madawa to na thi
rang afshan thi meray dil kay khayalon mein magar
aek aurat thi ilaj e gham o dunya to na thi

No comments:

Popular Posts