Sunday, April 18, 2010

Sitaron Se Bhare Aasman Ki Wusaaton Mein

Sitaron Se Bhare Aasman Ki Wusaaton Mein,
Mujhe Apna Sitara Dhundna Hai,
Falak Par Keh-Kashan Dar Keh-Kashan Ek Bekaraani Hai,
Na Uska Naam Hai Malum--Na Koi Nishani Hai,
Bas Itna Yaad Hai Mujhko,
Azal Ki Subah Jab Sare Sitare,
Alwidayi Guftagoo Karte Hue Raasto Pe Chal Nikle The,
To Uski Aankh Mein Ek Uar Taara Jhilmilaya Tha,
Usi Taare Ki Soorat Ka,
Meri Bhigi Hui Aankhon Mein Bhi Ek Khwab Rehta Tha,
Main Apne Aansuon Mein Apne Khwabon Ko Sajata Hoon,
Aur Uski Raah Takta Hoon,
Suna Hai Gumshuda Chizein Jahan Par Khoyi Jaati Hai,
Wahin Pe Mil Bhi Jaati Hai...

No comments:

Popular Posts