Friday, April 23, 2010

Raatain laut ayee hain


Raatain laut ayee hain
phir say mazi k woh dareechay khulain gay
kabhi yoonhi kisi sard raat main achanak
suhani yadon ka koi hissa
kisi barf kay narm galay ki tarha
bin mosam sardi ki barish ki tarha
pichlay peher ki khamosh sarsarahat ki manind
apnay andar nami ka ehsas liay
yoonhi urti saba ki tarha
dil ko choo jay gaa

phr say dil muskuray gaa
anjanay say suroon main dhalay geet
suna'ay gaa
tuo us vakt, sunn lo jaana!!!
woh yadain, woh maazi bhi apna thaa..
or ye batain, ye haal bhi apna hay
tum kal mujh say
mere rag-e-jaan say
sabb say barh kay kareeb thay
aaj or bhi nazdeek ho!!!

mosam tuo hotay hi badalnay ko hain
ye sa'ay say, ye roz-o-shabb
hotay ghatnay barhanay ko hain
mohobbat sirf barhanay ko hay!!!


harr guzarta pal,
harr jaata lamha, ye keh raha hay
woh yadain, woh maazi bhi apna thaa..
or ye batain, ye haal bhi apna hay

No comments:

Popular Posts