Monday, April 19, 2010

Mohabbat Mein Koi Gehrayi

Mohabbat Mein Koi Gehrayi Ab Bilkul Nahi Baaki,
Ab Atwaar Mohabbat Bhi,
Is Manind Badle,
Milo To Khush, Na Milne Par Koi Shikayat Bhi Nahi Hoti,
Kabhi Ek Hijr Hota Tha Jise Ab Gap Kehte Hai,
Maheeno Bhi Agar Mehboob Mil Nahi Paate
To Milne Par Masroofiyat Ka Uzr Chal To Jata Hai,
Isi Tarah BahaM Rabton Ka Toot Jana Ek HaQeeQat Hai,
Yehi Kuch Wo AwaMil Hai Jinhe HuM "Gap" Kehte Hai,
Ke Ab To Wasl-O-Hijr Mein Milne Na Milne Ka FaraQ Mitta

Ja Raha Hai,
Ke Do Dil WaQt Milne Par Hi Milte Hai,
TaQazon Par Nahi Milte,
Na Is Mein Khwahish ShaMil, Na Koi Aarzu-O-ArMaan,
Ke Phonic Rabte Bhi Ho Nahi Paate,
Ke Phonic Rabton Par Saal Kat Jaate Hai,
Lekin Mil Nahi Paate,
Mohabbat Mein Wo Pehle Ki Tarah Jazbaat Ki Tehreek Bhi

Paayi Nahi Jaati,
Ke Nafsanafsee Ke Is Daur Mein Itna Bhi Kafi Hai,
HaMein Koi Chahta To Hai,
Kahin Par Door Reh Kar Bhi Kisika Koi Saari UMr Rehta Hai,
Koi Pehlu Mein Rehte Hue Bhi Anjan Rehta Hai,
Mujhe Hairat Hai,
Is TaluQ Ko Mohabbat Ka NaaM Deneki Bhi Aakhir Kya

Zaroorat Hai,
Magar Shayad Zaroorat Hai,
Ke Bas Ab To Mohabbat Sirf Apne NaaM Par Zinda Hai...

No comments:

Popular Posts