Friday, April 23, 2010

Mohabat rog hai jaana

MOHABAT ROG HAI JAANA


Mohabat rog hai jaana
Ajaab sanjoog hai jaana
Ye kaisa jog hai jaana

Baray borhay batatay thay
kaee qisaay sunatay thay
Magar hum mantay kab thay
Ye sab kuch jantay kab thay
Ye batain zikar k qabil
bhala gardantay kab thay

ana k takht pay bethay
Humain maloom hi kab tha
Anaa k takht say oper
Bohat saree bulandi par
Kahin pariyon k jhurmut mein
Teray pairoon ki payaal mein
Teray chotay say gaoon mein
taree zulfoon ki chaoon mein
sitary chand suraj
waalay hana raqs kartay hain

hamain maloom he kab tha
taray qadmon ke aahat per
gulabi muskarahat per teray hontoon ke jumbish per
teray sir kay ishray per
sada-e-dolbarana per
negaha-e-qatilana per
jafa-e-mehrmana per
ada-e-qatalana per
chaaman kay phool saray
is tarhan say dhayan daytay hain
zara say wasl kay jhansay main
apni jaan daytay hain

hamian kab ilm tha jana
teray paykar say dhul kar
chaandani har so bikhrtee hai
shab-e-mehtab ke doshezgi
kaisay nikhrtee hai
tere awaz weranay main
kya jadu jagatee hai
taray nagmay fiza main
kis tarha jaltarang bajatay hain
bohat pukhta iraday
kis tarhaa say toot jatay hain

hamain idraak he kab tha
hamain kamil bharosa tha
hamaray sath kisi surat
bhee aisa nahi ho ga
dil-e-nadan kabhi
qaboo say bayqaboo nahi ho ga
yeh dunya-daar
dunya-daar say saadhuu nahi ho ga

Magar.............


Magar phir youn hoa jana
na janay kyun hoa jana
bara afsoon hoa jana
jigar ka khoon hoa jana

teray abroo ke ik jumbish
say ghayal ho ga'ay hum bhee
baray bay multafit phirtay thay
maayal ho ga'ay hum bhe
sakahwat karnay aay'ay thay
aur sayal ho ga'ay hum bhee
baray bhooron ke in baaton kay
qayal ho ga'ay hum bhee
K............
Mohabat Rog Hai Jana
Ajab Sanjog Hai Jana

Yeh Kaisa Jog Hai Jana..............!!!

No comments:

Popular Posts