Friday, April 23, 2010

Mere dil ki yeh lagi

Mere dil ki yeh lagi..

Mere dil ki yeh lagi
Mujhse yehi poochti hai
Kaun hai woh
jis ka naam
Dharkan kai har sur mein hai
Kaun hai woh
jis ki mehak
Meri in sansoon mein hai
Mein kaisai kehdoon in sai
Woh meri zindagi hai

Meri ankhoon ki haya
Yehi poochti hai har dam
Kaun hai woh
jis ka aks
In nigahoon mein hai
Kaun hai jo
palkoon par
Sitara ban kar chamakta hai
Kaisai kehdoon in sai
woh mera khawab hai

Laboon ki muskaan
Yehi poochti rehti hai
Kaun hai woh jo chehrai par
Khushi ban kar chalakta hai
Jis ki chahat kai rang mein
Ranga ye mera anchal hai
Kaun hai woh jo jugnu ban kar
rahoon ko raushan karta hai
Kaisai kehdoon in sai
Woh meri mohabbat hai

Meri shokhi ye shararat
Yehi poochti hain mujhse
Kaun hai woh
Jis kai khayal sai hi
Simat jaati hoon mein
Jis ki har baat Emaan hai mera
Kaun hai woh
Jo choo lai to sarap-e mohabbat
Ban jaoon gi
Jis ki ek nigah sai sharmati hon mein
Kaisai keh doon in sai
Woh meri tabeer hai

Ye chandni mein dhali hijar ki ratain
Mujhse yehi poochti hain
Kaun hai woh
Jis ka intezar pyari nigahon ko hai
Jis ki rahain ashkoon sai raushan hoti hai
Jis ki cha mein umeed ka diya jalta hai
Kaun hai woh
Jis ki rah taktai tum thakti nahi ho
Sard shamain hoon yaan tez dhoop
Tum darti nai ho jalti nahi ho
Kaun hai woh
Jisai lamha lamha khud mein
Samait ti ho
Kaisai keh doon in sai
Woh mera sahil hai

No comments:

Popular Posts