Friday, April 16, 2010

Mera Wajood Hai

Mera Wajood Hai,
Azeeyaton Ki Qaid Mein,
Mera Zehan Hai,
Sochon Ki Qaid Mein,
Mujhe Hai To Bas Ek Aasra,
Meri Mann Ki Ujli Si Yaad Ka,
Main Nahi Hoon Magar Phir Bhi,
Main Ek Azziyat-E-Na Tamaam,
Main Ek Khamoshi-E-Benaam,
Main Ek Masti-E-Badnaam Hoon,
Hai Wajood Mera Kaanton Ke Hisaar Mein,
Bad Masti Masti Ke Jwar Mein,
Main Hoon Behisson Ke Diyar Mein,
Har Pal Hoon Teri Yaad Ke Khumaar Mein,
Mujhe Chain Na Aaye Purnam Fiza,
Main Hoon Shola Ek Dehekta Hua,
Main Dukhon Ki Aag,
Main Hoon Tapi Hui
Mujhe Sard Na Kar Aur Jala,
Aye "Khuda-E-Laazawal"
Rok De Is Baarish Ko,
Iski Har Boond Se Phatta Hai Aabla,
Jo Ye Baras Gayi Mere Wajood Pe,
Ye Phat Padega Lawa Numa,
Bas Ek Nazar-E-Karam Kar,
Meri Maan Ke Is "Lehad" Par,
Kar Roshan Uski "Lehad" Ko,
Kar Baghbaan Uski Rooh Ko,
Baksh De Har Khata Uski,
Razi Ho Jaa Usse "Gar Ranjoor" Ho,
Raahat Kada Mein De Jaga,
Apne Reham Se Use Aye "Khuda"
Hai Ek Gunahgaar Ki Ye Iltija "Gar Manzoor" Ho...



_________________

No comments:

Popular Posts