Monday, April 26, 2010

Maine chore na apne nishaan, ye rahguzar ishara deti hai

Maine chore na apne nishaan, ye rahguzar ishara deti hai,
Dasht-o-sahra me bhi, meri ruswai mujhko dhoondh leti hai.

Kahne ko mere saathi, rahon me mile the kabhi mujhe,
Aashna ke mahfilon me, meri tanhai mujhko dhoondh leti hai.

Har kadam par khai thokar, paya nahi kuchh bhi sabkuchh khokar,
Kismet se hi sahi magar, meri badnaseebi mujhko dhoondh leti hai.

Chaha to tha kar loon intezaar, tasavvur hi sahi unka aana,
Kadam na thame kabhi, meri aawargi mujhko dhoondh leti hai.

Yun to milte rahe raahon me, dil lagane wale kai log,
Koi lakh kareeb ho, teri judai mujhko dhoondh leti hai.

Pyas hai janmon ki, dene walon ne saagar bhi diye,
Har boond me bhi, meri tishnagi mujhko dhoondh leti hai.

Jeete ji to kabhi chain na mila, marna jo chaha kabhi maine,
Meri mayyat pe bhi, meri zindagi mujhko dhoondh leti hai.

Ab na likhenge hum ghazal kabhi, aah na banenge shabd kabhi,
Aahon ke naseeb se, meri shayari mujhko dhoondh leti hai.

No comments:

Popular Posts