Wednesday, April 28, 2010

kuchh to ehasaas-e-ziyaa.N thaa pahale

kuchh to ehasaas-e-ziyaa.N thaa pahale
dil kaa ye haal kahaa.N thaa pahale

ab to manzil bhii hai Khud garm-e-safar
har qadam sang-e-nishaa.N thaa pahale

safar-e-shauq ke far_sang na puuchh
vaqt beqaid-e-makaa.N thaa pahale

ye alag baat ki Gam raas hai ab
is me.n andeshaa-e-jaa.N thaa pahale

yuu.N na ghabaraaye huye phirate the
dil ajab kunj-e-amaa.N thaa pahale

ab bhii tuu paas nahii.n hai lekin
is qadar duur kahaa.N thaa pahale

Dere Daale hai.n bagolo.n ne jahaa.N
us taraf chashm-e-ravaa.N thaa pahale

ab vo dariyaa na bastii na vo log
kyaa Khabar kaun kahaa.N thaa pahale

har Kharaabaa ye sadaa detaa hai
mai.n bhii aabaad makaa.N thaa pahale

kyaa se kyaa ho ga_ii duniyaa pyaare
tuu vahii.n par hai jahaa.N thaa pahale

ham ne aabaad kiyaa mulk-e-suKhan
kaisaa sun_saan samaa.N thaa pahale

ham ne baKhshii hai Khamoshii ko zubaa.N
dard majabuur-e-fuGaa.N thaa pahale

ham ne roshan kiyaa maamuur-e-Gam
varnaa har simt dhuaa.N thaa pahale

Gam ne phir dil ko jagaayaa ' 
Khaanaa_barbaad kahaa.N thaa pahale

No comments:

Popular Posts