Thursday, April 15, 2010

khush-gawaar mausam meiN

khush-gawaar mausam meiN,
an-ginat tamashaai
apni apni TeemoN ko,
daad deney aateiN haiN
apney- apney pyaaroN ka,
hauslaa baRhateiN haiN.

maiN alag- alag sabsey,
barhweiN khilaRhi ko
hooT karta rahta hooN.
barhwaaN khilaRhi bhi,
kya ajab khilaRhi hai?
khel hota rahta hai,
shor machta rahta hai
daad paRhti rahti hai
aur woH alag sabsey,
intizaar karta hai.
aik aisi sa'at ka,
aik aisey lamhey ka,
jismey saneha ho jaaye.
phir woH khelney nikley,
taaliyoN key jhurmuT meiN,
aik nara-e-tahseen
usskey naam par ho jaaye.
sab khilaRhiyoN kay saath,
woH bhi moa'tbar ho jaaye.

par yeH kam hi hota hai,
phir bhi log kahtey haiN,
khel sey khilaRhi ka,
umr bhar ka rishta hai.
umr bhar ka yeH rishta,
chhooT bhi to sakta hai
aakhri whistle kay saath,
Doob jaaney wala dil
TooT bhi to sakta hai.

Tum bhi ' iftikhar aarif',
BarhweiN khilaRhi ho.
Intizaar kartey ho,
Aik aisey lamhey ka,
Aik aisi sa'at ka,
Jismey haadsa ho jaaye,
Jismey saneha ho jaaye.
Tum bhi 'faysal
Tum bhi Doob jaaogey.
Tum bhi TooT jaaogey...!!!

No comments:

Popular Posts