Sunday, April 18, 2010

Kaun Kise Ab Mere Ilawa Khone Ka Dukh Jhelega

Kaun Kise Ab Mere Ilawa Khone Ka Dukh Jhelega,
Kaun Yahan Ab Bekal Hoga Dil Mein Kuch Armaan Liye,
Gar Ye Mutthi Khul Jaye To Jante Ho Kya Paoge?
Aansu Bankar Beh Jane Wale Ek Adhuri Neend Ka Dukh,
Ek Sisakta Sajdah Jiske Aakhir Mein Do Uthe Haath,
Bin Mange Kuch Dhalke Honge Apne Aap Bejaan Liye,
Ek Jhijhakta Aks, Lamha Bhar Chamka Tha Aaine Mein,
Dooje Pal Hi Khud Se Khafa Tha Kuch Tevar Anjaan Liye,
Sehra Hothon Ki Wo Hasrat Pyaas Ka Ek Meezan Liye,
Do Aankhein Jo Gum Sum Hai Ab Khwabon Ka Ehsaan Liye,
Us Manzar Ko Takti Reh Gayi Jo Ab Shayad Badlega,
Ek Udasi Ka Paikar Kuch Bikhre Bikhre Haalon Mein,
Ishq Ka Pehla Misra Likh Kar Jazb Ka Ek Deewan Liye,
Ek Adhoori Nazm Ka Misra, Ek Takmeel Ki Khwahish Mein,
Samjhe Jaane Ki Hasrat Ka Namumkin Imkaan Liye,
Sari Umr Ki Ummeedon Ke Be-Rooh Jismon Ke Lashkar,
Aaj Bhi Yakja Ho Baitha Tha Rayeegan Jaane Ki Khatir,
Ek Musalsal Mehv-E-Intezaar Tamanna Jane Kya Kya Dhyan Liye,
Dinke Kinaron Par Kuch Khoye Safhey Rakh Ki Soorat Thi,
Apne Andar Jal Bujhi Shikaston Ki Ek Daastan Laye,
Kaun Ise Ab Mere Ilawa Kholne Ka Dukh Jhelega,
Ek Shikasta Din Ki Mutthi Band Ahi Kuch Samaan Liye...

No comments:

Popular Posts