Saturday, April 24, 2010

Kash Kisi Kee Maayen Na Marteen

Kash Kisi Kee Maayen Na Marteen

Mujhay raat gay tak bahir rahnay per rokti rahti thi
Main us ki baatain sun kar hansi say uchaal daita tha
Kal say jaldi aaon ga kah ker taal daita tha
Who mujhay daikh kar muskra daiti thi

Aur pyaar say chapat laga daiti thi
Main usay bohat satata tha bohat nakhray dekhata tha
Who her baar meray naaz uthati thi
Who meray sadkay wari jati thi
Raat kay kisi pehar b ghar jo ata us ko apna muntazir pata
Din raat us kay pyaar ki barsat hoti
Us ki duyain hameesha meray saath hotin

PER ABB

Zindagi main woo baat nahi hai
Kioon k woo meray saath nahi hai
Us kay pyaar bina dil ki zameen sookhi hai

Ek wohi mukhlis thi sari duniya rokhi hai
Ghar jab loton woo nigahain dhoondta hoon
Samaa jaon jin main woo bahain dhoondta hoon
Un jaghoon ko deekhta rehta hoon
Jahan beth k woo mera intzaar karti thi

Main ghantoon apna chahra deekhta hoon
Jahan woo mujhay pyaar karti thi
Teri dua kay bagair sarkon per nikal jata hoon
Her kadam her rastay per thoker khata hoon
Tu lout aa k mujhay abhi teri zaroorat hai
Main ghar jaldi lout aaoon ga
ALLAH kasam tujhay kabhi na sataon ga
Teri khidmat subha shaam karoon ga
jo kahay gi woo her kaam karon ga

Meray kaan phir say muntazir hain
Eik baar phir woo lori suna day
Ek arsa hua main soya nahi
Tu apni goud main mujhay sula day
Kaash kabhi aisi duaain na martyin


Kaash kisi ki MAAYEN na martyin

No comments:

Popular Posts