Friday, April 23, 2010

Kal Puri Raat naa hum so paaye

Kal Puri Raat naa hum so paaye,
Kal Puri Raat naa woh so paaye,
Ab jaane kismat kya rang laaye,
Hum par itne marte hai ,
Par kehne se kyo darte hai,
Saamne aaye kuch keh naa sake,
Bin hamare bhi reh naa sake,
Neend hamein naa aati hai,
Raat bhar jagaati hai,
Khwab unke dikhaati hai,
Yaad unki sataati hai,
Bin unke rehna mushkil hai,
Bas mein naa ab yeh dil hai,
Woh ek mere kabil hai,
Mera sab kuch unhike khaatir hai,
Duniya to yeh kehti hai Pyaar kiya to darna kya,
Darna to pyaar karna kya,
Lekin hum to darte hai,
Pyaar bhi to karte hai,
Dar ko ab bhagaana hai,
Haal - e - Dil bataana hai,
Dil ki daastan unkahi naa reh jaaye,
Labon pe aane se pehle kuch gajab na ho jaye,
Un par to hai pura Aitbaar,
Par kahi wo naa kar de Inkaar,
Unko karna hoga izhaar,
Aaakhir unko bhi to hai mujse pyaar,
Unke dil ke halaat aankhen bayaan karti hai,
Har pal kehti hai ke wo humpe marti hai.

No comments:

Popular Posts