Friday, April 23, 2010

Kaho In Bolti Ankhon Se Ke Khamosh Ho Jaayen

Kaho In Bolti Ankhon Se Ke Khamosh Ho Jaayen..


Andheri Raat Mein Roshan Sitara Kis Ne Dekha Hai..
Samundar Ke Safar Mein Haan Kinara Kis Ne Dekha Hai..
Sanbhal Jaa Aae Dil Ke Tumhein Samjhaaye Jaatey Hein..
Kaheen Aisa Na Ho Hum InKi Gehraai Mein Kho Jaayen..

Kaho In Bolti Ankhon Se Ke Khamosh Ho Jaayen..

Yeh Chaha Kub Tha InKi Aseeri Chore Jana Hai..
Magar Kismat Mein Likha Tha So Likha Tha Humne Mana Hai..
Humein Aise Jo Dekhain gay To Ab Bhi Na Paayen gay..
Na Paas aao Ke Jaatey Wakt Hum Qurbat Pe Ro Jaayen gay..

Kaho In Bolti Ankhon Se Ke Khamosh Ho Jaayen..

Humara Muskra Kar Alwida Kehna Inhe Bhaaya..
Magar Yeh Kia Abhi Se In Mein Saawan Utar Aaya?
Inhe Rooko Humare Dil Ka Yun Na Imtihaan Lain Ab..
Yeh Baadal Ab Kaheen Mun Ko Humare Na Bhigo Jaayen..

Kaho In Bolti Ankhon Se Ke Khamosh Ho Jaayen..

Dua Hai Yeh Sadah Hansti Rahein Roshan Rahein Har Dum..
Zamane Bhar Ki Hon Khushian, Yeh Na Dekhen Ab Koi Gham..
Meri Ankhon Ke Jugno Bhi Inhi Ki Shaam Mein Chamkein..
Khudaya ! saare Mausam In Mein Rang o Bu Sama jaayen..

Kaho In Bolti Ankhon Se Ke Khamosh Ho Jaayen

No comments:

Popular Posts